Wednesday, October 15, 2025
spot_img
HomeEconomyIMF, WORLD BANK AUR INVESTORS SE MULAQAATEIN — PAKISTAN KI MAASHI BEHTARI...

IMF, WORLD BANK AUR INVESTORS SE MULAQAATEIN — PAKISTAN KI MAASHI BEHTARI KI KOSHISHAIN TEZ

Washington D.C., October 15, 2025

Federal Minister for Finance and Revenue Senator Muhammad Aurangzeb ne IMF aur World Bank ke saalana ijaalas ke doosray din bhi aham aur aala satah ki mulaqatein jaari rakheen.

Wazir-e-Khazana ne IMF ke Deputy Managing Director Nigel Clarke se mulaqat ki jisme Nigel Clarke ne Pakistan ke IMF program ke tahat behtareen performance ki tareef ki. Muhammad Aurangzeb ne maashi behtari aur stability ke safar ko jaari rakhne ke azm ka izhar kiya aur Extended Fund Facility (EFF) ke doosray review aur Resilience and Sustainability Trust (RST) ke pehle review ke liye IMF ki support par shukriya ada kiya.

Unho ne Pakistan mein haal hi ke sailaabon ke nuksaan par IMF ke izhar-e-hamdardi ka bhi shukriya ada kiya.

WORLD BANK KE SAATH MULAQAT

Federal Finance Minister ne World Bank ke Regional Vice President Osman Dione se bhi mulaqat ki. Dono taraf se Country Partnership Framework (CPF) ke asar-dar nafaz par focus rakha gaya. Hukoomat ne CPF ke mutawaqqa nataij hasil karne ke liye ek comprehensive implementation framework tayar kiya hai jisme provincial governments bhi mukammal taur par shaamil hain.

Pakistan ne International Development Association (IDA) ke resources tak behtar rasai aur climate disasters se nimatne ke liye long-term flood mitigation program ki tajweez di.

MASHREQ BANK KE SAATH TAAWUN

Muhammad Aurangzeb ne Mashreq Bank ke Group CEO Ahmed Abdelaal aur senior management se bhi mulaqat ki. Unho ne Pakistan aur bank ke darmiyan long-term partnership ko saraha aur kaha ke Mashreq Bank ki Pakistan mein entry financial system ko mazbooti aur innovation faraham karegi. Unho ne bank ke commercial operations ke aaghaz par management ko mubarakbad di aur hukoomat ke taraf se policy support ka yaqeen dilaya.

AMRIKI AUR SAUDI NAMAYANDON SE BHI AHM MEETINGS

Finance Minister ne White House aur US officials, IMF, World Bank, Saudi Fund for Development (SFD) aur international investors ke namaindon se bhi mulaqat ki.

Unho ne US President ke economic adviser Emory Cox, Ricky Gill (Senior Director South & Central Asia) aur Pierre Yared (Acting Chairman, Economic Advisory Council) se mulaqat mein kaha ke trade cooperation ko economic partnership mein badalna zaroori hai.

Donon taraf se energy, minerals, agriculture, technology aur digital assets ke sectors mein investment ke mauqon par guftagu hui.

Saudi Fund for Development ke CEO Sultan Al-Marshad se mulaqat mein Muhammad Aurangzeb ne Pakistan-Saudi strategic relations mazboot karne ke azm ka izhar kiya aur Hyderabad–Sukkur Motorway (M-6), Main Line-1 (ML-1), skills development, aur IT infrastructure ke projects mein taawun ka mutaliba kiya. Saudi Fund ne Pakistan ke digitalization agenda mein taawun ka yaqeen dilaya.

INVESTORS CONFERENCE AUR REFORMS PAR ZOR

Jefferies International ke investor conference mein Wazir-e-Khazana ne investors ko Pakistan ki economic condition, fiscal & monetary policies, aur IMF ke saath partnership par brief kiya.

Unho ne tax reforms, energy sector reforms, privatization projects, aur exports barhane ke liye tariff policies par roshni daali. Session ke aakhir mein investors ke sath Q&A session bhi hua.

AGRICULTURE DIALOGUE AUR CLIMATE FOCUS

World Bank ke “Machine Agri Connect: Farms, Firms & Finance for Jobs” dialogue mein unho ne agriculture sector ke central role ko ujagar kiya. Unho ne kaha ke hukoomat procurement aur price controls mein kami laye aur farmers ke liye concessional loans, first-loss guarantees, aur collateral-free financing ko barhawa de.

Unho ne cold chain, warehousing aur horticulture value addition mein private sector ki investment barhane par zor diya.

Aakhir mein Muhammad Aurangzeb ne World Bank ke 10 saala Country Partnership Framework ke climate resilience aur carbon reduction focus ko saraha aur President Ajay Banga ke tajweez ka khairmaqdam kiya ke successful models se seekh lena chahiye.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×