Sunday, November 10, 2024
spot_img
HomeEconomyIMF PROGRAM KE LIYE PAKISTAN KA 30 LAKH RETAILERS KO TAX NET...

IMF PROGRAM KE LIYE PAKISTAN KA 30 LAKH RETAILERS KO TAX NET MEIN LANAY KA AAGHAZ

IMF se naye qarz program ke liye Pakistan ne 30 lakh retailers ko tax net mein lana shuru kar diya hai.

IMF aur World Bank ke annual meetings Washington mein shuru ho rahi hain. Finance Minister Muhammad Aurangzeb ki qiyadat mein Pakistani delegation meetings mein hissa lega.

IMF ke naye qarz program ke liye, ministry ke zarae ke mutabiq, IMF mission May mein Pakistan ka visit kar sakta hai.

IMF ka naya qarz program 3 saalon ke liye hoga aur iska package 6 se 8 arab dollars tak ho sakta hai.

Sources ka kehna hai ke IMF ki demand par real estate aur agriculture sectors se tax ki wasooli ko barhane ke liye steps liye jayenge aur loss mein chal rahe sarkari idaron ki privatization ki jayegi

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×