Friday, February 21, 2025
spot_img
HomeEconomyIMF MD KA PAKISTAN KI MAISHAT KI BEHTRI PAR AITBAAR – SHEHBAZ...

IMF MD KA PAKISTAN KI MAISHAT KI BEHTRI PAR AITBAAR – SHEHBAZ SHARIF KI QIYADAT KI TAREEF

DUBAI: Wazir-e-Azam Muhammad Shehbaz Sharif aur Aalmi Maaliyati Fund (IMF) ki Managing Director (MD) Kristalina Georgieva ki kal World Governments Summit (WGS) 2025 ke moqe par Dubai mein mulaqat hui.

Mulaqat ke doran Pakistan ke jaari IMF program aur hukoomati islaahaat ke zariye milne wale macroeconomic stability par guftagu ki gayi.

Donon taraf se idaarati islaahaat aur maaliyati nizam-o-zabt ko barqarar rakhne ke liye Pakistan ke azm ko ujaagar kiya gaya, jo ke mulk ki maashi bahali aur mustaqbil ke liye nihayat aham hai.

Shehbaz Sharif ne IMF ki Extended Fund Facility (EEF) ke tehat honay wali taraqqi ki ahmiyat par roshni dali, jo Pakistan ki maishat ko mazboot banane aur isay long-term stability ki taraf le jane mein ahem kirdar ada kar rahi hai.

Wazir-e-Azam ne kaha ke hukoomat islaahaat ki raftaar barqarar rakhne ke liye pur-azm hai, khaaskar tax reforms, energy sector ki behtri aur private sector ki taraqqi ke liye.

Kristalina Georgieva ne Pakistan ki hukoomat ki IMF ke sath mil kar ki gayi koshishon ko saraha aur kaha ke mulki maishat ab stability ke baad taraqqi ki taraf barh rahi hai. Mahangai mein kami aur economic performance behtar ho rahi hai.

Unho ne yeh bhi tasleem kiya ke Pakistan maashi bahali ke safar ke baad growth ki taraf barh raha hai.

IMF MD ne Shehbaz Sharif ki leadership aur personal commitment ko bhi appreciate kiya, jo Pakistan ke economic stability aur taraqqi ke liye ahem hai.

Unho ne strong financial discipline, idaarati islaahaat aur behtar governance ki zaroorat par zor dete hue Pakistan ke reform agenda ki IMF ki taraf se poori support ka bhi izhar kiya.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×