Saturday, September 21, 2024
spot_img
HomeEconomyIMF KI PAKISTAN SE CURRENCY MARKET THEEK KARNAY KI DEMAND

IMF KI PAKISTAN SE CURRENCY MARKET THEEK KARNAY KI DEMAND

Bloomberg ki report kay mutabiq, IMF ne Pakistan se demand ki hai ke woh apne currency market ko theek kar le, takay IMF June mein khatam hone wale $6.7 billion bailout program ko dobara shuru kar sake.

Government ka focus sahi tareeqay se FX market ki functionalization budget par hai, IMF ki statement analyst ke according devaluation posible hai. Karl Lester M Yap aur Eric Martin ke zariye. May 30, 2023 ko 6:33 AM GMT+5 ko update kiya gaya hai.

Pakistan ka liye IMF mission ke chief Nathan Porter ne Monday ko apni statement mein kaha ke Foreign exchange market ke functions ki proper restoration karnay ki zarurat hai, Program goals and adequate financing ke mutabiq financial year 2024 ke budget approval par focus kar rahe hain interbank market mein last few months rupee relatively stable raha hai.

Porter ne mazeed kaha kay “IMF staff, Pakistan Government ke sath continues engagement rakhay hua hai takay current program ke expire hone se pehle board meeting ka rasta saaf ho sake”.

PKR Devaluation Possible

Finance Minister Ishaq Dar nay 28 May ko Geo TV ke interview mein devaluation ko “The Mother Of All Evils” kaha hai.

Pakistan ke officials ne currency par apna control kam kar diya tha takay IMF loan hasil karne mein madad ho sake, jiski wajah se rupee ne 20% se zyada niche aa gaya hai. Tab se rupee stabilized ho gaya hai and May mein PKR 285 ke qareeb trade ki gayi hain.

Explanation mein kaha ja sakta hain ke official rate aur money changers ke rate ke darmiyan taqreeban 8% ka farq nazar aya hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×