Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeEconomyIMF and Finance Minister Ishaq Dar

IMF and Finance Minister Ishaq Dar

Islamabad: Finance Minister Ishaq Dar ne Media se baat kartay huay kaha kay IMF ne Agreement karna hai to karay, agar nai karna chahta to na karay, ab hum mazeed hard decision nai lengay.

Finance Minister ka kehna hai kay May and June me $3.7 billion dollars ki payment denay me koi pareshani nai hogi or China $2.4 billion dollars ka loan rollover kardega.

Pakistan ne tamam shara’it poori ki hain aur IMF ki shara’it ke mutabiq agreement ke liye tamam steps liye gay gain hain.

Wafaqi Wazir-e-Khazana ne International Monetary Fund (IMF) ke saath Staff-Level Agreement mein delay par izhar-e-khayal karte hue kaha ke Pakistan ke default ki rumors na phelayi jayen, Pakistan ke saath na-insafi par mabni aalami siyasat khatam honi chahiye.

Wednesday ko bloomberg ke email kay jawab me IMF kay spokesperson ne kaha tha ke IMF 2019 mein tay hone wale $6.7 billion dollar ke qarz ke 9th review par muahida tak pahunchne ke maqsad ke sath funding aur policy assurances ke husool par Pakistan ke saath masroof e amal hain.

Mazeed kaha kay Pakistani authorities ne FY23 aur iss se agay fuel cross subsidy scheme mutarif nahi karne ki commitment ki hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×