Sunday, September 22, 2024
spot_img
HomeNationalHUKUMAT NE BIJLI KI KEEMAT MEIN IZAFAY KI TAYYARI SHURU KARDI

HUKUMAT NE BIJLI KI KEEMAT MEIN IZAFAY KI TAYYARI SHURU KARDI

Private TV channel ke mutabiq, Government ne mehngai ke sataaye awaam par ek bar phir bijli bomb girane ki tayyari kar li hai.

Bijli ki qeemat mein fer unit 4.66 rupees izafay ka imkan hai. Is hawale se CPPA (Central Power Purchasing Agency) ki taraf se Nepra (National Electric Power Regulatory Authority) mein darkhwast jama karwadi gayi hai.

Nepra ke mutabiq, CPPA ki taraf se unit ke price mein 4.66 rupees izafay ki darkhwast November ki fuel price adjustment (FPA) ki base mein ki gayi hai.

CPPA ki darkhwast par Nepra 27 December ko samat karega.

Nepra ki taraf se darkhwast ki manzoori ke natije mein bijli sarfeen par 40 arab rupees ka izafah bhaari parega. Mumkin hai ke yeh izafah electricity ke sarfeen par na ho.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×