Islamabad: Current Fyscal Year ke pehle 5 mahinay mein Pakistan ke qarz ki adayegi aur Repayment of Principal Amount par aane wala kharch high policy rates ki wajah se guzishta Fyscal Year 2023 ke doran isi doran qarz ki nisbat 74% barh gaya hai.
Mali muhaz par ek or challenge yeh hai ke districts ki janib se paida hone wali revenue generation isi doran 107.9 Billion par khari hai, jab ke guzishta mali saal ke doran isi doran yeh 202.5 billion rupees thi.
Ab bara challenge adayegion par barhta hua sood hai, jo high policy rates ki wajah se hai, jinhon ne mojudah kharch mein bara izafah kiya hai.
Government interest par aane wale kharch ko kam karne mein mashgool hai, primary surplus mein izafay ki koshishen.
July-November 2024 ke doran primary surplus mein izafa hua hai.
State Bank of Pakistan ki Finance Committee ki meeting aane wale haftay mein hai. Is mein high-interest rates ko barqarar rehne diya jayega. Agar policy rate barhe, to aane wale mahinon mein soud ki adaeigi par izafay ki sorat mein mazeed kharch aa sakta hai, jisse treasury ke liye mushkilat barh sakti hain.
July se November 2024 ke mali sall mein kul milake 43% izafah hua hai, jo ke 4831 billion rupees hai. Pichle mali sall ke doran yeh kharch 3367.4 billion rupees tha.