Monday, October 13, 2025
spot_img
HomeBusinessGOVERNMENT TAKES STEPS TO FULFILL IMF CONDITION ON PUBLIC SERVANTS’ ASSET DISCLOSURE

GOVERNMENT TAKES STEPS TO FULFILL IMF CONDITION ON PUBLIC SERVANTS’ ASSET DISCLOSURE

Federal Government ne IMF ki shart puri karne ke liye ek aur aham qadam utha liya hai. Is shart ke mutabiq, Government mulazimeen ke assets (jaidaad aur maal) ko public karna aur share karna zaroori hai.

Is silsile mein FBR (Federal Board of Revenue) ne Assets Declaration Rules 2023 mein new changes ka draft jari kar diya hai. Naye rules ke mutabiq, “Civil Servant” ki jagah ab “Public Servant” ka lafz istemal hoga.

FBR ne awam aur stakeholders se kaha hai ke agar kisi ko in tarmimein par koi tajweez ya aitraz hai, to wo 7 din ke andar FBR ko likh kar bhej sakta hai.

Naye draft ke mutabiq, Public Servant wo afsar honge jo grade 17 ya us se upar ke darje par federal, provincial, ya government-owned institutions mein kaam karte hain.

FBR ka kehna hai ke in tabdiliyon ka maqsad system ko zyada clear, transparent aur asaan banana hai taa ke sarkari afsaron ke assets ka record aur sharing process behtar taur par chal sake.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×