Thursday, November 21, 2024
spot_img
HomeFinanceStock MarketGLOBAL OIL PRICES RISE AS MIDDLE EASTERN CONFLICT INTENSIFIES

GLOBAL OIL PRICES RISE AS MIDDLE EASTERN CONFLICT INTENSIFIES

New York: Middle East mein jaari tanaza aur kashidgi ki wajah se Global market mein crude oil ki qeematon mein izafe ka rujhan dekha gaya hai.

Media reports ke mutabiq, Lebanon par Israel ke hamle ke baad crude ki qeemat mein 0.94% izafa hua hai, jis se Brent oil ki qeemat barh kar 72.27 dollar per barrel ho gayi hai.

Middle East ki surat-e-haal ne Global market mein crude oil ki qeematon par gehre asraat daale hain. Maahireen ka kehna hai ke agar is region me tension barhti hai, to agle dinon mein oil ki supply lines mein mazeed rukawat ka khadsha hai, jo ke Global satah par oil ki prices mein izafe ka rujhan barqarar rakh sakta hai.

Is waqt duniya bhar ke mulkon ko yeh fiker hai ke agar masla hal nahi hota, to crude oil ki kami ka samna karna par sakta hai, jis ka asar na sirf Middle Eastern mulkon par balke duniya ke her kone par hoga.

Agar yeh tanaza isi tarah chalta raha, to aane wale months duniya ke liye mehngai ka sabab ban sakte hain, jise aam aadmi bhi mehsoos karega. Is ke ilawa, global economy par bhi iska bura asar hoga, jo ke already challenges ka samna kar rahi hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×