Monday, November 10, 2025
spot_img
HomeBusinessGLOBAL OIL MARKET STABLE, LEKIN SUPPLY GLUT KA KHADSHA QAIM

GLOBAL OIL MARKET STABLE, LEKIN SUPPLY GLUT KA KHADSHA QAIM

Brent crude 45 cents ya 0.71% barh kar $64.08 per barrel tak pohanch gaya

Singapore: Aaj (Monday) ke din oil ki qeemat mein izafa dekha gaya hai jab ke umeed hai ke US Government ka shutdown jald khatam ho sakta hai — jo duniya ke sabse bade oil consumer mulk mein demand ko barha sakta hai.

Brent crude futures 45 cents (0.71%) barh kar $64.08 per barrel ho gaya, jab ke US West Texas Intermediate (WTI) 48 cents (0.80%) barh kar $60.23 per barrel tak pohanch gaya.

Amreki Senate ne itwaar ke din vote ke zariye federal Government ko dobara kholne ki taraf qadam barhaya hai, jiss se 40 din se chalta aa raha historic shutdown khatam hone ka imkaan 

IG Market ke analyst Tony Sycamore ke mutabiq, “Government reopening se 800,000 federal workers ko dobara tankhawayen milengi aur zaroori programs phir se start honge, jisse consumer confidence aur kharch barhega.”

Unho ne kaha ke ye development market sentiment ko bhi behtar karegi aur WTI prices $62 per barrel tak rebound kar sakti hain.

Pichlay haftay Brent aur WTI dono ki qeemat mein taqriban 2% kami dekhi gayi thi, jab ke supply glut ka khauf barh gaya tha.

OPEC+ ne December mein output thoda barhane ka faisla to kiya hai lekin pehle quarter mein mazeed izafay ko filhal rok diya hai, taake supply zyada na ho jaye.

Is doraan, America mein crude inventories barh rahi hain jab ke Asia ke paaniyon mein ships par oil storage double ho gaya hai, kyun ke Western sanctions ne China aur India ki imports ko rok diya hai.

India ne ab apni zarurat ke liye Middle East aur Americas se oil lena shuru kar diya hai.

Russian oil producer Lukoil bhi disruptions ka samna kar raha hai, kyun ke 21 November tak US companies ko Russian oil ke saath business khatam karne ki deadline di gayi hai.

US President Trump ne Hungary ko ek saal ka exemption diya hai Russian oil imports par, jis se global oversupply ka khauf mazeed barh gaya hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×