Protected aur non-protected consumers ke liye MMBTU ke hisab se gas ki qeemat mein izafa ka imkan hai. Fixed charges mein koi izafa nahi.
Sources ke mutabiq, gas consumers ke liye 900 rupay MMBTU ke izafa ka imkan hai, jabke CNG sector ke liye 170 rupay ka izafa shamil hai.
Gas ki qeemat mein izafay ko industrial sector ke liye 1st March se apply kia jayega, jabke protected aur non-protected consumers ke liye ye 1st February se apply hoga. Captive power plants ke liye bhi gas ki qeemat mein izafa hoga.
Sources ne bhi bataya hai ke gas ki qeemat mein izafay ke sath tamam sarfeen ko 204 billion rupay ka ezafi bojh uthana parega.