New fiscal year kay start mein Pakistani foreign workers kay remittances mein kami dekhi gai, jo kay Central bank ki thursday ki report kay according july mein $2.03 billion tak thi.
Pakistani remittances july mein $2.03 billion the jo YoY basis par 19.3% kam hai jiski wajah political uncertainty and currency differences jese factors hain.
Saudi Arabia se sab se zyada remittances $ 486.7 million dekha gaya. UAE mein 31% ka decline dekha gaya.
Debt repayments ki waja se SBP kay forex reserves mein $110 million ki kami hui. Total reserves $13.34 billion reh gaye.