Tuesday, October 14, 2025
spot_img
HomeEconomy- FINANCE MINISTER KA AMERICA KE SAATH TARIFF DEAL PAR KHUSHI KA...

– FINANCE MINISTER KA AMERICA KE SAATH TARIFF DEAL PAR KHUSHI KA IZHAAR

Federal Minister for Finance aur Revenue, Senator Muhammad Aurangzeb ne Washington D.C. mein US officials ke saath mulaqat ke dauran Pakistan aur America ke darmiyan kamiyab tariff deal par khushi ka izhar kiya.

Unhon ne kaha ke Pakistan ki economy IMF program ke tehat mazboot buniyad par qaim hai aur American companies ko oil & gas, minerals, agriculture aur IT sectors mein investmentki dawat di.

Finance Minister ne Citi Bank aur IFC ke representatives se bhi mulaqat ki, jahan Reko Diq project aur mazeed ta‘awun par guftagu hui.

Is ke ilawa, unhon ne Islamic Development Bank ke President Dr. Muhammad Sulaiman Al-Jasser ka shukriya ada kiya, M-6 project ke liye financing aur polio aur oil projects mein madad par unki sarahna ki.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×