Fauji Fertilizer Company Limited ne Agritech Limited ke 106,014,632 voting shares Rs. 37.42 per share ke hisaab se 15 October 2024 ko acquire kar liye hain. Is kharidari ke baad, FFC ka total hissa ab Agritech Limited mein 117,934,632 shares ho gaya hai, jo ke company ke total voting shares ka 27.77% hai. Is se pehle FFC ke paas 11,920,000 shares (2.81%) the.
Fauji Fertilizer Company Limited ka authorized capital PKR 15 billion hai, jo ke 1,500,000,000 ordinary shares par mabni hai, jin ki value PKR 10 per share hai. Issued capital PKR 12,722,382,470 hai, jo 1,272,238,247 ordinary shares ke barabar hai.
FFC ke Board of Directors mein notable names shamil hain, jese ke Lt. Gen. Anwar Ali Hyder, HI(M) (Retd) (Chairman), Mr. Jahangir Piracha (MD & CEO), Mr. Saad Amanullah Khan, Ms. Maryam Aziz, Mr. Yassir Ghiyati Ibn Ziyad, Mr. Qamar Haris Manzoor, aur Dr. Shamshad Akhtar. Fauji Foundation ko FFC ke operations par control hasil hai.
Sources k mutabiq mein is waqiye ka zikar zyada important hai kyun ke yeh acquisition Agritech Limited ke future aur fertilizer industry mein ek baray transfer ka sabab ban sakta hai.
Agritech Limited ke shareholders aur bazaar ke liye yeh ek ahem khabar hai ke FFC ab substantial control hasil kar chuki hai.