Saturday, January 18, 2025
spot_img
HomeFinanceStock MarketFERTILIZER SECTOR and KHARIF SEASON

FERTILIZER SECTOR and KHARIF SEASON

National Fertilizer Development Center (NFDC) ne Fertilizer production kay numbers release kiye hain 26th April 2023 ko march ke month ke liye, jahan Urea and DAP offtakes respectively 4% or 36% YoY hain or Fertilizer Sector 9% YoY se kam he.

Nutrients ki international prices declining trend par hain kyun ke International farmers community prices mein correction ka wait kar rahi hai or baray orders buy karne ya place karne se avoid kar rahay hain, Government ka IMF ki demand meet karne ke Liye Gas prices mein izafay kay recent decision ki waja se Fertilizer producing companies ne cost ko consumer ko pass on kardia, local offtakes Jo ke pehle se hi downward trend mein thy or ye recent price hike march mein nazar anay wale offtakes ko mazeed nuqsan de chuka hai or number me nazar me saaf dekha ja sakta hai..

EFERT Port Qasim plant Jo kay special Fertilizer produce karta hai, march mein online hogaya hai aur isi tarah FFBL DAP plant bhi. Jo kay had se zyada prices or inventory ki kami ki wajeh se band hogay thay, Jb k DAP k lea outlook ki demand still weak he or purchasing power kamzor dikhai deti hai.

Darson securities ki report kay mutabiq, Urea ki demand still achi nazar aa rahi hai q k price ki brabri ab bhi mojud hai. Kharif season k ate hi urea ki prices me kami expected he or offtakes mein 0.8% cumulative decline expected he jo kay growth me transfer hogi.

According to the report, FFC ne abhi tak apne urea bag ki Prices increase nahi ki jab ke EFERT ne FFBL k footsteps ko follow karte hue march mein gas price ke hawale se urea bag prices 400/bag increase ki is ki waja prices hike and other expenses current situation mein FFC k beneficiary ke Tor par khara he.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×