Thursday, November 21, 2024
spot_img
HomeEconomyFEDERAL GOVERNMENT PROPOSES CLOSURE OF MORE PUBLIC INSTITUTIONS UNDER RIGHT-SIZING MEASURES

FEDERAL GOVERNMENT PROPOSES CLOSURE OF MORE PUBLIC INSTITUTIONS UNDER RIGHT-SIZING MEASURES

ISLAMABAD: Federal Govarnment Ne Right-Sizing Iqdaamaat Ke Tehat Mazeed Sarkari Idaare Band Karne Ki Tajweez Tayyar Karli.”

Ministry of Industries and Production ke idaare, Karachi Tools, Dies & Molds Centre aur National Productivity Organization samait dosray idaare band karne ki nishandahi ki gayi hai.

Government sources ke mutabiq, Federal Government ka size or expenditures kam karne ke liye mukhtalif tajawiz par kaam ho raha hai, jis me idaare band karna, nigraani (privatization) aur unhein mila kar ek karna shamil hai.

Sources ka kehna hai ke Ministry of Industries and Production ke Karachi Tools, Dies & Molds Centre aur National Productivity Organization band karne ki tajweez hai, jab ke Pakistan Industrial Technical Assistance Centre aur Technology Upgradation & Skill Development Company ko bhi band karne ka plan tayyar kiya gaya hai. Saath hi Utility Stores Corporation ko privatize karne ya khatam karne dono options par ghour ho raha hai.

Sources ka yeh bhi kehna hai ke PM Shehbaz Sharif ne National Fertilizer Corporation aur National Fertilizer Marketing Limited ko band karne ka task bhi Ministry of Industries and Production ko diya hua hai. Yeh tajawiz PM ko pesh ki jaayengi, aur unki manzoori ke baad Wafaqi Cabinet bhi in tajawiz ki manzoori degi.

Yaad rahe ke Ministery of Finance ki sarbarahi mein Right-Sizing Committee hukoomati intizami dhanchay mein islaahaat par kaam kar rahi hai, jis ka maqsad intizami dhanchay ka hajm kam karna hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×