Sunday, September 22, 2024
spot_img
HomeBusinessFEDERAL CABINET APPROVES REVENUE DIVISION CHANGES

FEDERAL CABINET APPROVES REVENUE DIVISION CHANGES

Islamabad: Federal Cabinet ne Revenue Division mein changes ki approval de di, Federal Tax Policy Board ki formation ki gayi, aur digitalization per zor diya. Yeh faisla last meeting mein aya, jahan Finance Minister aur Inter-Ministerial Committee ki sarparasti mein reform ka proposal dya gaya.

Is reform mein ek Federal Tax Policy Board tashkil kiya jayega, jo mulk ki tax policies ko characterize karega, revenue ke objectives ko define karega, aur stakeholders ke darmiyan taawun ko barhayega. Is board ki sarparasti Federal Minister for Finance karenge.

Is tabdili ke natije mein Customs aur Inland Revenue ke liye alag oversight boards banaye jayenge, jo apne apne Director Generals ki sarparasti mein honge. Yeh Director Generals apne idaron ke tamam mamlat mein mukammal ikhtiyarat rakheinge, jisme digitalization, shikayat ka hal, aur transparency shamil hai.

Customs aur Inland Revenue ke liye alag oversight boards tashkil honge, jinme Federal Secretaries of Finance, Revenue, Commerce, Chairman NADRA, aur experts shamil honge, jisme Finance Minister sarparasti karenge.

Prime Minister ne hidayat di hai ke in boards mein private sector ke experts ki organizational matter ke doran beneficial impact ka conflict na ho. Iske ilawa, unhon ne yeh bhi kaha hai ke Cabinet Committee ki reforms ke functions ke hawale se zaroori legal activities ke liye faislay ko aglay systematic Parliament ke liye pesh kiya jaye.

Federal Cabinet ne 26 January 2024 ko hue Cabinet Committee for Legal Affairs ke faislon ki confirmation ki hai, lekin Water Resources Ministry ki tabdiliyon par mabni Arsa Act 1992 mein sincere decision hone ke baad, is Mye pesh karne ki hydayat di gae he.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×