Monday, September 16, 2024
spot_img
HomeEconomyFBR WILLING TO MODIFY TAX SCHEME AS PER TRADERS' DEMANDS

FBR WILLING TO MODIFY TAX SCHEME AS PER TRADERS’ DEMANDS

Islamabad: Traders se Tax Collectioni ke maslay par FBR ne apni tax scheme mein traders ki marzi se changes karne ka faisla kiya hai. 

Sources ka kehna hai ke agar traders agree hain, to jald hi amendment Notice jaari ho sakta hai. Small Traders ko tax se excemt qarar dene ki baat bhi draft mein shamil ki gayi hai.

Income Tax Returns ka form ab saada aur aasaan Urdu mein faraham kiya jayega, jabke 10 crore rupay saalana turnover par sales tax na lagane ki tajweez bhi di gayi hai.

PM Shahbaz Sharif ke coordinator Rana Ehsan Afzal ne wazeh kiya ke Government kisi surat traders ke dabao mein nahi aayegi, magar muzakirat ke liye tayyar hai. Unhon ne kaha ke retail sector ko tax net mein aana hi hoga aur FBR ki reorganization ki zarurat bhi uthaai gayi hai.

Tajroon aur Jamaat-e-Islami ki jaanib se taxes aur mehngai ke khilaf shutter down hartal ka elan bhi kiya gaya hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×