Islamabad, 26 September 2024: FBR ke spokesperson Bakhtiar Muhammad ne Thursday ko ek qaumi muhim ka ailan kiya, jis me mulk bhar me tax compliance ko barhane ke liye seminars ka intezam kiya jaega. PTV News se baat karte hue unhone kaha ke FBR logon ko tax qawaneen, faide aur tareeqay samjhane ke liye seminars, workshops aur media outreach ka sahara le raha hai.
Unhone bataya ke is taleemi mohim ke baad FBR ki zero-tolerance policy hogi tax chhupaane walon ke liye, jis me sakht jurmane aur qanooni action liya jaega. Is qadam ka maqsad ye hai ke log waqt par aur sahi tareeqay se apne returns file karein.
FBR is mohim me digital platforms, print aur electronic media, aur awaami seminars ka istemal karega taake zyada se zyada logoun tak pegham pohonchaya ja sake.
Ek sawal ke jawab me Bakhtiar Muhammad ne kaha ke tax compliance culture ko behtar banana Government ka prime objective hai, aur FBR taxpayers ke taawun se is hadaf ko haasil karne ke liye pur-azm hai.
Pichle saal jab filing date ka koi extension nahi diya gaya tha to taxpayers ka zabardast response aaya tha. Unhone taxpayers ko mashwara diya ke 30th September 2021 tak apna tax return file karen, aur aakhri din ka intezar na karein taake system delays ka samna na ho.
FBR ne dobara ta’keed ki hai ke income tax return file karne ki date me koi extension nahi di jaegi.