Saturday, December 21, 2024
spot_img
HomeBusinessFAST CABLES KO PAKISTAN KI PEHLI BASEC CERTIFICATION MILI: QUALITY AUR EXPORT...

FAST CABLES KO PAKISTAN KI PEHLI BASEC CERTIFICATION MILI: QUALITY AUR EXPORT MEIN NAYA BENCHMARK

Fast Cables ne Pakistan mein pehli dafa British Approvals Service for Cables (BASEC) certification hasil ki hai, jo mulk ke cable manufacturing industry ke liye aik bara ahem qadam hai. BASEC aik UK-based organization hai jo cables aur cable manufacturing facilities ke liye sakht international standards ke mutabiq certification deti hai.

Ye certification Fast Cables ke manufacturing facility ke mukammal audit ke baad di gayi, jis me raw material se le kar tayar shuda product tak tamam marahil mein international standards par poora utarna zaroori tha. Is process mein BASEC lab UAE mein products ka type test bhi shamil tha. 

Fast Cables ne is certification ke zariye Pakistan ki cable manufacturing industry mein aik naya benchmark set kiya hai, jis me unki quality, safety aur compliance ka aala darja tasleem kiya gaya hai. 

Ye BASEC certification na sirf local market mein unka maqam barhati hai, balke Middle East, Africa, aur Americas mein exports ke liye naye rasty bhi kholti hai, jo mulk ki economic growth mein apna hissa dalegi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×