Tuesday, September 17, 2024
spot_img
HomeEconomyECONOMIC STABILITY: IMF KE BAAD PAKISTANI EURO BONDS AUR SUKUK MEIN SHANDAR...

ECONOMIC STABILITY: IMF KE BAAD PAKISTANI EURO BONDS AUR SUKUK MEIN SHANDAR IZAFA

Pakistani Euro Bonds aur Sukuk ki keemat mein aik saal ke doran shandar izafa dekha jaraha hai, jo dikhata hai ke June 2023 mein IMF se $3 billion ke program lene ke baad Pakistan ki economy stable ho rahy hai.

Bloomberg ne report kiya hai ke Pakistan mumkin hai IMF se ek aur program lene mein kamyab hojaye ga, jiski wajah se Pakistan ke global bonds mein 2024 mein bhi tezi rahegi.

Arif Habib Limited ne report kiya hai ke Pakistan ke ek billion dollar ke 10 yearly international bonds April 2024 mein mature hongay, jo ke Wednesday ko 94.7 cents per band hue, jo ke June 2023 ke muqable mein double the value hai, jab ke June 2023 mein ye 50 cents se kam trading ho rahe thay.

CEO ACH Shahid Ali Habib ne kaha ke June mein IMF program ki manzoori ke baad bonds ki keemat mein tezi aayi hai. Current account deficit mein numaya kami, energy aur currency market mein reforms, IMF Completion of components aur rupee ki qadr mein stability jesi success ne foreign investors ke satisfaction mein izafay ka bais bana diya hai, jiski wajah se Eurobonds aur Sukuk mein invest karne ka rujhan barh gaya hai, in mein September 2025 mein mature hone wale 500 million dollar ke 10 yearly bonds bhi shamil hain.

Research House ke mutabiq in ki keemat 74% izafay ke sath aik saal ke doran 84.84 cents tak pohanch gayi hai, April 2026 mein mature hone wale 1.3 arab dollar ke 5 yearly bonds ki keemat 72% izafay ke sath 70.56 cents ho gayi hai.

December 2027 mein mature hone wale 1.5 arab dollar ke 10 yearly bonds ki keemat 71% izafay ke sath 67.62 cents ho gayi hai, over all Pakistan ke 7.80 billion dollar ke 8 bonds global market mein trade kar rahe hain, jo April 2024 se April 2051 tak mature honge.

Wealth manager Suleman Rafiq Maniya ne kaha ke agle 18 mahinay ke doran munafa 37% tak hosakta hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×