Govt. ne economic policies ko formulate karne ke lye important initiative liya hai jo Special Investment Facilitation Council k naam se jana jata he jo k economic structure me fundamental reforms lane k liye banaya gaya hai. Country me pandemic policies implement karne ke lye National command & operation center banaya gaya hai jiska purpose Federal Govt. province, bureaucracy or Military ko represent or gather karna he.
Is waqt country ko economic challenges ko face karna par raha he, ye council sahi direction me ek positive step ko represent karegy jo important stakeholders ko weekly meetings hold karne or economic recovery ko implement karne per discussion karne ke liye ek important platform provide karegy.
Ye worth noting he ke past me bhi isi tarah k forum banae gae hen jin me aksar influential businessmen or economists participate karte hen. Jabke iski success effective economic plans ko formulate or implement karne ki willingness per depend karty he.