Wednesday, October 15, 2025
spot_img
HomeTechnologyDUBAI MEIN PAKISTAN NIGHT — INNOVATION, INVESTMENT AUR IT KA CELEBRATION, UAE...

DUBAI MEIN PAKISTAN NIGHT — INNOVATION, INVESTMENT AUR IT KA CELEBRATION, UAE KE SAATH DIGITAL DOSTI KA NAYA EHAD

Dubai mein Pakistan Mission to UAE ne, Ministry of IT & Telecommunication (MoITT), Pakistan Software Export Board (PSEB) aur Trade Development Authority of Pakistan (TDAP) ke sath mil kar “Pakistan Night” ka aik shandar networking event host kiya gaya. Is event ka maqsad Pakistan ke digital potential ko showcase karna aur Pakistani tech companies aur global innovation ecosystem ke darmiyan partnerships ko mazid mazboot banana tha.

Is event ki Chief Guest Federal Minister for IT & Telecommunication Ms. Shaza Fatima Khawaja thin. Unke sath Mr. Rana Ihsan Afzal Khan (Coordinator to PM on Commerce), Dr. Sohail Munir (Chairman Pakistan Digital Authority), Mr. Sajjad Mustafa Syed (Chairman P@SHA), H.E. Hussain Muhammad (Consul General of Pakistan, Dubai), aur Brig. Syed Nadir Hussain Shah (SIFC) bhi maujood thay.

Event mein senior diplomats, Emirati officials, Dubai Chamber of Commerce ke representatives, business councils aur GITEX Global 2025 ke exhibitors ne bhi shirkat ki.

Mr. Ali Zeb Khan, Trade Counsellor ne apne welcome remarks mein kaha ke aise events Pakistan ke IT exports ko promote karne aur mulk ko aik competitive digital hub banane mein aham kirdar ada karte hain.

Ambassador Faisal Niaz Tirmizi ne kaha ke Pakistan innovation, investment aur international collaboration ke zariye apni IT exports ko $4 billion se barha kar $100 billion tak le ja sakta hai. Unhon ne Ministry of IT ke initiatives ko saraha jo Pakistan ko global markets mein mazid ubhaar rahe hain.

Mr. Rana Ihsan Afzal Khan ne bataya ke Pakistan ka IT sector mulk ki sabse tez taraqqi karne wali industry hai, jiska saalana growth rate 20% hai.

Keynote address dete hue Federal Minister Ms. Shaza Fatima Khawaja ne kaha ke hukoomat IT industry ko mazid support karne ke liye committed hai — khaas taur par AI, cybersecurity, software development aur data processing ke fields mein. Unhon ne kaha ke Ignite jese programs ne Pakistani startups ko global level par opportunities hasil karne mein madad di hai.

Aakhir mein Minister ne Ambassador Faisal Niaz Tirmizi ki koshishon ko saraha jo unhon ne Pakistan–UAE relations ko mazboot banane aur Pakistan ke economic aur technological interests ko promote karne ke liye ki hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×