Tuesday, January 7, 2025
spot_img
HomeFinanceForexDOLLAR KI RUPEE KAY AGAINST WAR

DOLLAR KI RUPEE KAY AGAINST WAR

KARACHI: Interbank mein dollar 299.64 pe bund huwa jab kay Open market mein 316 pe sell huwa.

Pakistan Forex Exchange Companies Association kay Chairmen Malik Bostan ka kehna hai kay Interbank mein Dollar ki qeemat mein mazeed increment nahi hosakta, Dollar ab sustain karega.

Bostan ka kehna hai kay Dollar ki qadar mein ye increase sirf waqti hai, public se kaha hai kay wo excitement mein akar mazeed dollars purchase karne se guraiz karen.

Mazeed kaha kay “Aaj Dollar ne life time high rate banaya hai kay 300 tak chala gaya hai is se pehle iska last high 295 tha, Dollar ka rate mazeed barhne kay koi chances nahi hain, 300 kay barrier ko torna or mazeed agay jana less possible hai.

Public ko further Dollar buying se ijtinab karna chayhye, Malik bostan ne inform kia kay Dollar ka rate wapis milega 270 kay levels per wapas aa jayega, abhi demand hai kyoun kay Government ne 3000 se 4000 Container hen unki restrictions hata dy hain unhe interbank se Dollar kharidne ki permission de di hai us kay ilawa last two years se ghair elanian pabandian thyn luxury item pe wo bhi hata di gae hain or importers ki buying khatam hogy.

Malik Bostan ne mazeed kaha kay mujhe Allah ki zaat pe pura yaqeen hai kay Dollar rate interbank se girega to market mein bhi girega.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×