Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeFinanceForexDOLLAR ki Parwaz, PKR phir se Zawal ka Shikar

DOLLAR ki Parwaz, PKR phir se Zawal ka Shikar

Pakistani currency ne ek hi din mein tezi se kami dekhi hai, jis ke natije mein US Dollar ke against mein new all-Time low level tak pahunch kar 1.31% yani 4 rupe par gir gaya tha. Ye niche ki ravani working days se jari rahi hai jis mein currency ki qadr approximately 4% yani 12 rupe kam ho gai hai

Last week open market ne ek din ki sab se barhi 7 rupe ki kami dekhi gayi

State Bank OF Pakistan ke Mutabiq, interBank open market mein continuously fourth consecutive working day ke din bhi local currency mein continuously kami dekhi gayi jio 0.25% ya 0.73 rupe gir kar 11 days ki kam tareen level Rs 286.55/$ par aa gayi. Nateejtan Interbank and open market mein rupe and dollar rate to exchange rate darmiyan spread barh kar 18 rupe tak paunch gaya hai.Ye farq recent days mein 1-3 rupe ke aas pas tha.

The Express Tribune se baat karte hue, ECAP ke president, Malik Bostan ne mulk ki currency par new pressure ki waja se Commercial Banks ki janib se US dollar ki notable demand ko qarar diya. Banks apne client ke zariye credit cards ka zaruye ki jane wali international payments ko sattle karne ke liye open market se taqreeban $10M dollar per day hasil kar rahe hain

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×