Monday, January 20, 2025
spot_img
HomeEconomyDESPITE GLOBAL CHALLENGES, NATIONAL ECONOMY ON PATH TO RECOVERY, JAMEEL AHMED

DESPITE GLOBAL CHALLENGES, NATIONAL ECONOMY ON PATH TO RECOVERY, JAMEEL AHMED

Karachi ke maqami hotel mein ICMA Pakistan ke convention ke moqa par bator mehman khusoosi khitab karte hue State Bank ke Governor Jameel Ahmed ne kaha hai ke microeconomic challenges se niptne ke lye Government aur State Bank ne determination ke natije mein economy mein numaya behtarri ai hai.

Governor ne kaha ke mahol se hat kar yeh tajziya karne ki zaroorat hai ke hamari ma’eeshat kahan khari hai aur is ka rukh kis taraf hai, ek saal pehle Pakistan ko intehai mushkil microeconomic mahool ka samna tha, mehngai ki sharah 38 % tak pohanch chuki thi, zar-e-mubadala ke zakhair tezi se kam ho rahe the, taham aaj mehngai tezi se kam ho rahi hai, hamare zakhair taqreeban 8 billion dollar tak barh chuke hain halan keh bhaari qarzay wapas kar rahe hain.

Reserves 9 billion dollar ke level ko cross kar gae hen, Stock Market bhi nayi bulandiyan chhoo rahi hai. Governor ne economy ki behtari ka zikr karte hue kaha ke yeh Government aur State Bank ke resolute determination se mumkin hui hai. Unhon ne graduates ko Pakistan ki economy ki tashkeel mein maddad ke liye amal ki dawat di.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×