Saturday, September 21, 2024
spot_img
HomeFinanceCommoditiesCOTTON SUPPLY 66.5% TAK INCREASE

COTTON SUPPLY 66.5% TAK INCREASE

Pakistan mein ginning factories ko cotton ki supply mein izafa hua hai, jis se ummeed ki jati hai kay is season mein 10 million bales ko exceed kiya jayega.

Last year kay comparison mein Pakistan mein overall cotton arrivals mein 66.5% ka izafa hua hai, specially Punjab & Sindh mein.

Pakistan ki cotton production farmers kay dosray crops ki taraf tawajja hone ki wajah se kam rahi.

Pakistan ka purpose hai kay is saal 12.77 million bales ki production ki jaye, jiski koshish mein Pakistan mein per-acre yield ko increase karne kay liye fertilizers ka balanced istemal karte hue efforts ki ja rahi hain.

Textile industry ki demand ko meet karne kay liye Pakistan har saal $4 billion foreign currency kharch karta hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×