Islamabad: Competition Commission ne baahmi guth-jor ke zariye price fix karne wali sugar mills ka cartel pakar liya aur Punjab ki 10 sugar mills ko cartel banane par showcause notices jari kar diye.
Maaloomat ke mutabiq, sugar mills ne ganne ki crushing mein taakhir ka faisla guth-jor kar kiya aur ganne ki price 400 rupaye per mann fix kar di, jis mein kisano ko bilkul madde nazar nahi rakha gaya.
10 November ko Fatima Sugar Mills mein hui khufia meeting ki sadr Fatima Sugar Mills ke Resident Director Rana Jamil Ahmed Shahid ne ki. Kai sugar mills ke numainde online bhi shamil hue. Faisla hua ke crushing 28 November se shuru ki jayegi.
Authorities kehte hain ke price fix karna Competition Act ki khilaf warzi hai. Commission ne sugar mills se 14 din mein tahreeri jawab talab kar liya hai.
Crushing mein taakhir se cheeni ki masnoi qillat aur prices mein izafa ka khatra hai.
Un mills ko notices jari kiye gaye jinmein Fatima, Sheikho, Thal Industries, Tandlianwala (Rahman Hajra unit), JK One, Ashraf, Kashmir, Siraj, Two Star aur Haq Bahu Sugar Mills shamil hain.




