Karachi, Pakistan – Chief minister Sindh ne Mr.Noman Abid Lakhani T.I ko as Syndicate Member, Dawood University of Engineering & Technology “Person of Eminence” ki category mein notify kiya hai. Country mein education, Real Estate, Construction or Financial Sectors mein Mr.Lakhani ki unparallel contribution ne inhen ye aezaz hasil karwaya, is ke elawa Country mein creating jobs and skilled quality human resources produce karne me.
Mr. Lakhani aik mumtaz or mutaherik ba-seerat waly hain jinho ne unprecedented excellence ki misal kaim ki hai. Wo ILMA UNIVERSITY (formerly IBT) ke Founder hain, or inhen Islamic Republic of Pakistan ke president ki taraf se Tamgha-e-imtiaz (Civil Decoration, Medal of Excellence) se nawaza gaya hai. Mr. Lakhani ki strategic decision-making or Crucial partnership ne Noman Group ko country and out of country phele Howe projects ke sath ek undisputable group mein change kardia hai.
Aik behad talented and mazboot businesses guru, Mr. Lakhani ne world’s leading international universities jis mein Stanford University, USA, MIT mein taleem hasil ki hai. Greenwich university, or Harvard University, USA samet World-wide conferences mein bhi shirkat ki hai. Mr. Lakhani ki contributions bohot ziyada barh gai hain or mulk bhar mein diverse domains se Lakhon ko benefit huwa hai.