Sunday, November 10, 2024
spot_img
HomeBusinessCHINESE DELEGATION ARRIVES IN PAKISTAN, FOUR (04) BILLION INVESTMENT POTENTIAL UNVEILED

CHINESE DELEGATION ARRIVES IN PAKISTAN, FOUR (04) BILLION INVESTMENT POTENTIAL UNVEILED

Rawalpindi: Chinese investors 4 Billion yuan ki investment ke liye Pakistan pohanch gaye.

China ke investors ka bara delegation Chinese province, Henan ke Chairman Chamber of Commerce and Industry Aang Jin Aa ki rehnumai mein Pakistan pohanch gaya hai, delegation mein China Chamber of Commerce Pakistan Community ke Chairman Sheikh Farman bhi shamil hain.

Delegation ne pehle Speaker Qaumi Assembly Raja Parvez Ashraf se mulaqat ki aur Pakistan mein hawa se bijli peda karne, bhair bakriyon ki afzaish, sabzi, phalon ki paidawar mein izafa, plastic ke puranay tyre se mahool-dost technology ke sath black eel tayyar karne ke shobay mein 4 arab yuan ki investment mein dilchaspi ka izhar kiya.

Raja Parvez Ashraf ne kaha ke Pakistan China dosti himalaya se buland or samandar se gehri hai. Pakistan mein investment ke be shumar mawaqay hain, Pakistan har investor ko mukammal hifazati security bhi faraham kare ga, mukammal one window facilities faraham kar di gayi hain, Chinese delegation jis shobay mein chahe investment kar sakta hai.

Delegation ke sarbarah ne kaha ke Pakistan China ki jadeed technology se faida utha kar har shobay mein taraqqi kar sakta hai, Sheikh Farman ne kaha ke Delegation 31 December tak 4 billion yuan ki investment kare ga.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×