Islamabad: China ko Pakistan ki seafood ki baramadat mein January se November 2025 ke dauran 24% izafa record kiya gaya. Is arsay mein seafood exports ki qeemat takreeban 235.7 million dollar tak pohanch gayi, jab ke 2024 ke usi arsay mein ye baramadat 188.95 million dollar thin.
China ki General Administration of Customs (GACC) ke data aur Pakistan ke Ministry of Commerce ke mutabiq, ye izafa Chinese market mein behtareen quality ki samandari ghiza ki barhti hui demand ko zahir karta hai. Ahm baramadati items mein frozen machhli — jis main anchovies, mackerel aur squid shamil hain — ki qeemat mein numaya izafa dekha gaya.
Frozen machhli ki baramadat 2024 ke 46 million dollar se barh kar 2025 mein 57 million dollar se zyada ho gayi, jo kul izafay ka aham hissa hai.
Isi tarah fresh prawns ki baramadat January se November 2025 ke dauran 31.93 million dollar tak pohanch gayi, jab ke pichle saal yahi baramadat 27.77 million dollar thi. China Economic Net ke mutabiq frozen cuttlefish aur squid ki baramadat bhi barh kar 24.7 million dollar ho gayi, jo pichle saal 23.8 million dollar thi.
Hukamranon ke mutabiq China–Pakistan behtar tijarati ta’alluqaat, khaas taur par CPEC ke zariye behtar logistics ne shipment time kam kiya aur supply chain ko mustahkam banaya.
Pakistan mein seafood processing ki salahiyaton mein behtri aur Chinese food safety standards par poora utarna, Pakistan ko mo’tabar aur high-quality seafood supplier ke tor par mazboot kar raha hai. Mahirreen ke mutabiq aney walay arsay mein Pakistan ki seafood exports mein mazeed izafa mumkin hai.




