Saturday, December 14, 2024
spot_img
HomeBusinessCEMENT INDUSTRY SET TO FLOURISH: STRONG MARGINS AND GOVERNMENT INITIATIVES DRIVING GROWTH

CEMENT INDUSTRY SET TO FLOURISH: STRONG MARGINS AND GOVERNMENT INITIATIVES DRIVING GROWTH

Cement sector ne meritorious achievement ka muzahira kiya, jis mein profit 8% YoY se barh kar PKR21.9bn tak pahunch gaya 2QFY24 mein, PKR20.2bn SPLY ke muqable.

Profit mein izafay ki wajah high gross margins hain, jis ke sabab cement ki qeemat aur coal ke prices mein kami hui hai, jo 2QFY24 mein 49% YoY se down ho gayi, ahem sabab Russia-Ukraine tanaza tha.

Cement companies ne axle load ke amal par cement ki qeemat ko barhaya.

Dusri aamdani 124% YoY behtar ho gayi aur 2QFY24 mein PKR7.5bn ke qareeb thi, PKR 3.3bn SPLY ke muqable, jo zyada dividend aur interest ki earning ki bunyad par hai.

Finance cost bhi 42% YoY se barh kar 2QFY24 mein PKR9.6bn tak pahunch gai, PKR 6.8bn SPLY ke muqable, ye high interest rate aur companies ke plant expansion ke debt increase ki wajah se hua.

Higher inflationary pressure, axle load ke implementation aur energy cost mein shiddat ka increase COGS/admin aur distribution expenses ko 2QFY24 mein 7% / 23% aur 78% YoY increase dilwaya.

  • LUCK, CHCC, KOHC, PIOC & FECTO Cement Industry ke profit me contribute kar rahe they.

Cement industry ki topline 9% YoY barh kar 2QFY24 mein PKR176.9bn tak pahunch gayi, PKR 161.7bn SPLY ke muqable. Magar, export sales ne puri industry ke pressure mein kami ki jabke cement player’s strategy capacity utilization ko barqarar rakhne ki taraf mabni hui, jis ne Dec’23 tak 59% capacity utilization dekhne mein ai.

Domestic cement sales 12% YoY contraction ka samna kar ke 2QFY24 mein PKR10.1mnMT tak pahunchi, PKR 11.4mnMT SPLY ke muqable, yeh kam construction activity, sardiyon ke asar, domestic political chaos aur axle load regulation ke implemention se zyada construction cost ki wajah se hai.

Export of cement sales 166% YoY up ke sath 2QFY24 mein PKR1.9mnMT tak pahunchi, PKR0.7mnMT SPLY ke muqable, pehli wajah local demand mein decline tha, jo cement industry players ko kam margins par export karne or capacity utilization ko barqarar rakhne ke liye majboor karta hai doosri wajah export ke liye Afghanistan mein barhne wali demand hai, jo north ke players ko faida deta hai.

Experts ki Expectations hain ke cement industry 2HFY24 ke doran profit record karegi, local demand ke Healthy margins ki wajah se cement dispatches mein izafa, political uncertainty ki settlement, ease in inflation, gradual settlements aur new Government ke new infrastructure plans ke natije mein.

Report: Mrs. Kiran Noman

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular