Media Report kay Mubatiq Caretaker Govt ka IMF se rabta.
Gas kay sector mein circular debt ko counter karne kay liye Plug-in back or Dividend schemes introduce karane kay sath aek aham step bhi lia gaya hai.
Plug-in back scheme ka purpose circular debt ko kam karna hai, jis se Gas sector kay debts mein kami waqai ho sakti hai.
Plug-in back scheme se Gas sector ka circular debt kam hokar 1200 Billion reh jayega.
Dividend plug-in back scheme se circular debts mein 400 Billion se zyada ki kami possible hai.
IMF ne Gas sector kay circular debt mein kami kay plan per mazeed wazahat talab karli aur is per discussion bhi ki gai.
Finance Ministry kay hukkam aur IMF kay darmiyan virtual discussion hui.
Gas sector kay circular debts mein kami kay liye Dividend scheme bhi introduce ki gayi.