Saturday, November 9, 2024
spot_img
HomeEconomyBudget se Pehlay...

Budget se Pehlay…

Budget se related news ka silsila shuru ho chuka hai aur mukhtalif options pe gor kiya ja raha hai. Kuch major options hain, jaise ke companies ki reserved amounts par tax lagana. Dusre proposals mein compromise ho raha hai, jaise kay sarkari securities mein kiye jane wale banking profits par tax aur Minimum Asset Tax, PKR 100 million se zyada ke movable aur immovable asset par tax. Import se tax collection kam honay ki soorat mein, doosre rastay talaash kiye ja rahe hain takay iss farq ko kaise poora kya ja sake.

Chase Securities ki report me kaha gaya hai kay “kisi bhi qisam ke tax incentives ki baat nahi ho rahi ku ke IMF budget ki development par gehri nazar rakhte hue Government ka koi bhi popular decision IMF program ko bahaal kar ne ke liye ab tak ki jane wali tamam koshishion ko khatam karday ga Halaanki, IMF ke baghair budget ki mayaar ab bhi sawal ka nishan hai kyun ke IMF program ki hidayaton ke mutabiq tarmeem karna chahega. Isliye, agar IMF budget mein shamil nahi hai, toh yeh budget sirf pehla version hoga aur hum mid-year mein dusra budget dekh sakte hain jise commonly Mini Budget kehte hain.”

Published by Pakistan’s 1st Urdu Roman News Platform – www.UrduRoman.News
22 May 2023

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular