Wednesday, November 27, 2024
spot_img
HomeBusinessBOL & K-ELECTRIC KA NAYA SAFAR ASIAPAK KAY SATH

BOL & K-ELECTRIC KA NAYA SAFAR ASIAPAK KAY SATH

AsiaPak Investments Limited ne Bol Network & K-Electric (KE) kay 54% shares acquire karne ki bary kahabar de di.

AsiaPak Investments Limited, aik private investment firm hai jo Pakistan and Hong Kong mein operational assets ko own karte hain, AsiaPak Investments ne Bol Network ko acquire kar liya hai, jis par media group ne media ko ek statement issue ki hai.

New chairman or CEO Sameer Chisti ne Bol network kay employees ko Goodluck wish kia hai, sath hi Deputy CEO Jameel Ahmed Khan ne bhi Bol Tv kay mulazmeen kay liye naik khahishat ka izhar kia. Company ne acquisition ki details nahi di but inform kiya hai kay Bol Network Karachi mein hi headquartered rahega and Nationwide mojud rahega.

AsiaPak Investments Limited, kay offices Karachi, Lahore, aur Islamabad mein situated hain aur AsiaPak Investments Limited Group sirf Pakistan mein invest karne ko tarjeeh dete hain, according to their statement, Bol Network kay new Chairman and CEO Sameer Chishty appointed hue hain.

Statement mein further inform kiya gaya hai kay Chishty Asia and Middle East main ek seasoned international Technology Investor hain.

AsiaPak Investments Limited, ne inform kia hai kay unhon ne K-Electric (KE) mein around 54% shares acquire kiye hain and unhon ne Government of Pakistan ko next 30 years tak 660mw, Jamshoro supercritical imported coal-based Power Plant ko Indigenous Thar Coal mein convert karne kay liye aik ambitious investment proposal pesh kiya hai.

PLant site per Journalists se baat karte hue Head of AsiaPak Investment Shahriar Chishti ne reveale kia kay Plant ki tabdeeli ki tajweez pehle hi Government ko provide kardy gayi hai.

Madam Duradan Arshad jo kay Sameer Chisti & Shahriar Chishti ki mother hain unho ney bhi is moqay per khushi ka izhaar kia. Madam Duradan Arshad ka kehna hai kay unhe apne betoun ki taraqi dekh kar bohat proud feel hota hai, unhone mazeed bataya kay unke Husband Admiral Arshad Munir Chishti (Late) ki yahy khwahish thy kay un kay betey kamyab hon or unka naam roshan kareyn.

Mr. Muhammad Noman Founder Pakistan’s 1st Urdu Roman News & Umm-Ul-Aaima Group of Companies & Mrs Kiran Noman, New CEO Bol Sameer Chisti, Head of AsiaPak Investment Shahriar Chishti & Madam Durdana Arshad ko dili mubarak baad pesh karte hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×