Saturday, January 18, 2025
spot_img
HomeEconomyBIJLI KI KHAPAT 25% KAM, MEHNGI BIJLI KA BOJH BARHNE KA IMKAAN...

BIJLI KI KHAPAT 25% KAM, MEHNGI BIJLI KA BOJH BARHNE KA IMKAAN – NEPRA KA FAISLA MEHFOOZ

NEPRA ki meeting main inkishaaf hua hai ke August ke doran mulk mein bijli ki khapat 25% kam ho gayi hai, aur khapat kam honay se seh-mahi adjustment ki mad mein bijli mazeed mehngi hogi.

Meeting ke doran August ki mahana fuel adjustment ki mad mein wasool kiye gaye izafi 57 paisay fi unit consumers ko wapas karnay ke case par NEPRA ne faisla mehfooz kar liya.

NEPRA hukkaam ke mutabiq, bijli ki khapat mein kami par tashweesh ka izhaar karte hue member NEPRA Muthar Niaz Rana ne kaha ke mulk mein 13 hazar megawatt ke solar panels import ho chuke hain, aur awaam National grid chor rahe hain.

Unho ne yeh bhi kaha ke bijli ki khapat mein yeh kami bijli ke mehnga honay ki barri wajah ban rahi hai.

Member NEPRA Rafiq Sheikh ka kehna tha ke bijli ki khapat kam honay se aamdani mein hone wali kami ko pura karne ke liye bojh consumer par dala ja raha hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×