Europe ki Legal or Economy operator ki mazeed demand apply nahi hogi according to details FATF ki Gray list se niklne ke baad Pakistan ne ek or bari kamayabi hasil kr lee Wazeer E Kharja Bilawal Bhutto or Wazeer e Tejarat Syed Naveed Qamar ki koshishe rang le ayi. European Union Pakistani goods recover karne wale Pakistani Trader ke liye achi khabar aa gayi European Union ne Pakistan ko High risk countries ki list se nikal diya hai jis ke baad Pakistaniyo per Europe ke legal and economical operator ki mazeed demands apply nhi hongi High Risk list Antimony laundering ke broken system or terrorist financing rokne ke kharab nizam ki point out karti hai.
Wazeer e Tejarat Syed Naveed Qamar ne kaha hai hume ye kamayabi Wazeer e Kharja Bilawal Bhutto ki Relentlness efforts se mili hai. Syed Naveed Qamar ne mazeed kaha ke ab khamiyo ko dur kar liya hai jo International Financial System ke liye khatra nahi hai. European Union ke Members States ko ab Pakistan ke sath mamlaat karte huwe Enhanced Customers Due Diligence Application karne ki zrurt nahi hogi.
Mazeed kaha hai ke European Union ne Pakistan ko 22/Oct/2018 High risk Countries ki list m shamil kiya tha jis ki restrictions ne humri economy unnecessary burden dala.