Halal Markets Mein BBFL Ka Qayam
Big Bird Foods Limited (BBFL) Pakistan ki sab se badi chicken processing company hai jo B2B aur B2C dono markets mein chha gayi hai. Ye company halal chicken products, jaise burger patties aur nuggets, McDonald’s jaise bara aur tough customer ko supply karti hai. Pehle Pakistan aur Middle East mein McDonald’s ke halal chicken products South Africa aur East Asia se import kiye jate the, magar BBFL ke aane ke baad ab ye Pakistan se supply ho rahe hain directly. Ye sab BBFL ke high-tech aur European chilled air technology ka nateeja hai jise McDonald’s ne do saal ki testing aur due diligence ke baad approve kiya.
BBFL Ke Bade Customers aur Naye Expansion Plans
Aaj ke waqt BBFL sirf Pakistan hi nahi balke Qatar aur Oman mein bhi McDonald’s ko halal chicken supply karta hai. Saudia, UAE, aur Bahrain jese mulkon se bhi BBFL ki cost-effective aur quality products ke hawale se negotiation chal rahi hai. Is ke ilawa, BBFL KFC, Subway aur Dawn Foods ke white label products ke liye bhi supplies karta hai.Â
October 2024 mein BBFL ne apne product line mein fish products bhi add kiye hain. Ab ye fish products bhi McDonald’s aur Middle Eastern markets mein export kiye ja rahe hain aur pehli shipment Saudia ko October mein deliver ho chuki hai.
Financial Performance Aur Future Growth Ka Potential
BBFL is waqt apni production capacity ka sirf 30% use kar raha hai, aur phir bhi June 2024 mein company ne PKR 7.2 billion ki sales aur PKR 838 million ka net profit report kiya hai, jis se EPS 2.80 declare hua. Quarter 1 (July-September) 2024 mein PKR 2.2 billion sales aur PKR 268 million net profit se EPS 0.90 banaya. andazay kay mutabiq December tak BBFL ka EPS 2.25 tak pohanchne ki umeed hai aur full year (June 2025) ka EPS 6.25 se zyada ho sakta hai.
Agar BBFL apni capacity 70-80% tak badha leta hai to EPS PKR 10-12 tak easily pohanch sakta hai. Saath hi saath, McDonald’s KSA aur UAE ke saath halal supplies ke liye deal close hone wali hai, jo ke BBFL ke orders ko mazeed boost karegi.
Report by: Staff of Pakistan’s 1st Urdu Roman News