Karachi: BF Biosciences Limited (PSX: BFBIO), jo Ferozsons Laboratories Limited ka subsidiary hai aur Argentina ke Bagó Group ke sath joint venture ke taur par kaam karti hai, Pakistan ki pehli biotech formulation company ban chuki hai. Ye company na sirf Pakistan, balki duniya ke kai mulkon mein biotech dawaen tayar karti aur faraham karti hai. Khaas tor par, cancer, hepatitis, aur chronic kidney disease jese mushkil marz ka ilaaj BF Biosciences ki dawaon se hota hai, jo local aur international markets mein first choice ke taur par jani jati hain.
BF Biosciences ki taraf se recently ek US$ 20 million ka brownfield expansion mukammal kiya gaya hai, jis se is biotech giant ki manufacturing aur distribution capacity mazeed barh gayi hai. Ye expansion, jo company ke future goals aur increased demand ko dekhte hue kiya gaya hai, Pakistan ke biotech sector ko naye maqamat par le jane ke liye ek ahem qadam hai. Is expansion ke zariye company ab zyada advanced aur efficient systems ke sath dawaen banane aur export karne ki salahiyat rakhti hai.
BF Biosciences ko pehle se hi apni medicines ke liye healthcare practitioners ke darmiyan khaas maqbooliat hasil hai, khaas tor par cancer, kidney aur liver diseases ke ilaaj mein. Lekin COVID-19 ke doran, BF Biosciences ne apni international pehchaan ko aur mazid barhaya jab Gilead Sciences ke Global Patient Support Program ke zariye 127 low-income mulkon mein Remdesivir ki production aur distribution ki gae. Is qadam se duniya bhar ke 150,000 se zyada mareez faida utha sake, jo COVID-19 se shadeed mutasir the.
Company ke spokesman ka kehna tha, “Hamara mission hamesha se wo dawaen banaana raha hai jo logon ki zindagiyaan bacha sakein aur behtari laa sakein. Is expansion ke baad hum mazeed mareezon tak apni biotechnology-based treatments pohanchane ke qabil ho gaye hain.”
BF Biosciences ke is ahem project ke zariye Pakistan ke biotech sector mein na sirf naye tajaweez aur investments ka raasta khul raha hai, balke mulki dawasaazi industry bhi duniya mein apni ek qabil-e-deed pehchaan bana rahi hai.