Thursday, November 20, 2025
spot_img
HomeEconomyASIAN DEVELOPMENT BANK NE PAKISTAN KE LIYE $33 MILLION POWER TRANSMISSION LOAN...

ASIAN DEVELOPMENT BANK NE PAKISTAN KE LIYE $33 MILLION POWER TRANSMISSION LOAN APPROVE KAR DIYA

Islamabad: Asian Development Bank (ADB) ne Pakistan ke doosre Power Transmission Strengthening Project ke liye $33 crore ke qarz ki manzoori de di hai. Yeh project Hukoomat-e-Pakistan ki priority investments mein shamil hai aur iska maqsad national transmission network ko expand karna aur sasti hydro aur renewable energy ko mulk ke bare load centers tak effectively transfer karna hai.

Project ke tehat taqreeban 290 km lambi 500KV transmission line banai jayegi aur Islamabad aur Faisalabad ke important grid infrastructure ko upgrade kiya jayega. Is se North-South Power Corridor mein long-standing bottlenecks door honge aur northern hydro plants se 3,200 MW tak clean energy transfer mumkin hogi, jis se imported fuel par dependance kam hogi aur energy sector mein sustainability barhegi.

Yeh project National Grid Company of Pakistan ke through implement hoga aur is mein institutional, financial aur operational efficiency ko improve karna, public awareness aur gender equality initiatives ko promote karna shamil hai. ADB ka financial package $285M commercial loan aur $45M concessional loan par mabni hai.

ADB ki Pakistan Country Director ne kaha ke yeh project Pakistan aur ADB ke strong partnership ko reflect karta hai, aur low-cost hydro power ki delivery se na sirf energy supply behtar hogi balki operational costs kam honge aur mulk ki long-term sustainable growth mein bhi madad milegi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×