11 May 2023: IMF ke spokesperson ne Bloomberg ke sawalat ki email ka response dete hue kaha ke IMF 2019 mein tay hone wale $6.7 billion dollar ke qarz ke 9th review par muahida tak pahunchne ke maqsad ke sath funding aur policy assurances ke husool par Pakistan ke saath masroof e amal hain.
“IMF ko koi aisy indication nai mili jis se ye lagay kay Pakistan Current program complete nai karna chahta aur IMF ne kaha ke Pakistani authorities ne FY23 aur iss se agay fuel cross subsidy scheme mutarif nahi karne ki commitment ki hai.”
IMF kay data se pata chalta hai ke $2.6 billion ka loan ada karna baqi hai. Program ki expiry June ke akhir mein khatam ho rahi hai.”
IMF nay EX Prime Minister Imran Khan ke Arrest hone par comment karne se inkar kar diya.