Sunday, December 22, 2024
spot_img
HomeEconomyADB $3.5 Billion 5-Year Global Benchmark Bond sell kar raha hai.

ADB $3.5 Billion 5-Year Global Benchmark Bond sell kar raha hai.

Asian Development Bank (ADB) ne 18 April ko $3.5 billion ke 5-year Global Bond ki price set ki, jis ki income ADB ke Ordinary Capital Resources ka part hogi.

ADB ke Treasurer Pierre Van Peteghem ne kaha hai,” hum tamam regions mein investors ki musalsal support ko appreciate karte hain or ADB ko additional resources provide karte hain kyun ke hum climate change ke risk or human impact of the Pandemic mein apni developing member Countries ki himayat karte hain”

5-years bonds 3.75% per annum ke coupan rate ke sath semi-annually ke tor par payable or 25 April 2028 ki maturity date, ki price 99.725% thi jo March 2028 ko hone waly 3.625% US Treasury Notes ke muqable mein 16.50 basis points hasil karti hai.

Ye transaction BMO Capital Markets, BNP Paribas, BofA Securities, and HSBC. ke zer-e-intazam (under administration) tha.Ek syndicate group bhi banaya gaya tha jis mein Rabobank, Standard Chartered Bank, or Wells Fargo Securities shamil the.

Is issue ne Europe, Middle East or Africa mein 49% ke sath wide primary market ki distribution America mein 34% or Asia mein 17% hasil ki. Investor type ke lehaz se 48% Central Banks or official Institutions, 40% banks or 12% fund managers or baki other type of investors ke pas gae.

ADB 2023 mein capital market se approximately $28 billion se $30 billion raise karne ka irada rakhta hai.

ADB ne apni press release me ye bhi kaha kay, ADB intehai gurbat ke khatme ke liye apni koshishon ko jari rakhte huwe ek inclusive , resilient or sustainable Asia and pacific achieving ke liye committed hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×