Islamabad: Company ne apne Sangjani, Islamabad mein waqay cement manufacturing plant ke tamam operations dobara bahaal kar di hain. Yeh faisla Islamabad High Court ke hukam ke baad kiya gaya, jis mein plant ki temporary suspension ko ghair qanooni aur baghair ikhtiyar qarar diya gaya.
Adalat ke faislay ke baad plant mein normal operations aur production activities dobara shuru kar di gayi hain aur ab kaarobari sargarmiyan mamool ke mutabiq chal rahi hain.
Company management ke mutabiq, is arzi bandish ka company ki long-term financial position, assets ya business continuity par koi aham manfi asar nahi para.
Management ne umeed zahir ki hai ke ab aindah bina kisi rukawat ke operations jari rahengi. Company ne is baat ka bhi azm dohraya hai ke woh tamam qanooni aur zaroori zaraiyat par mukammal tor par amal karti rahe gi aur transparency, Governance aur shareholders ke mufadat ko hamesha pehli tarjeeh degi.
Company ka kehna hai ke agar mustaqbil mein koi bhi aham development hui to us se bar waqt market ko aagah kiya jaye ga.




