Sunday, December 22, 2024
spot_img
HomeArticlesSOCIETY MEIN MAZHAB OR CORRUPTION KI MILAWAT

SOCIETY MEIN MAZHAB OR CORRUPTION KI MILAWAT

Hamari society main jitni Corruption hai us se zyada uska shor sunnay mein aata hai, is se chutkara khwahish bhi hai or slogan bhi. Years after years iska churan to bohot bika per ilaaj ki jaga marz barhta hi chala gaya.

Kuch log iski waja mazhab se duri bataty hain or corruption ka ilaj mazhab se karne ki koshish bhi ki, per ye bhi to dekha gaya hai ke corruption Religious persons or Institutions mein bhi nazar aate aur ye bhi dekha gaya hai ke is waqt Non-religious society mein corruption kam hai, per is conclusion per pahunchna bhi galat hoga ke religion hi corruption ki taraf le jata hai, kuch danishwar log corruption ko Ignorance, lack of education, or poverty se jortay hain par Humne Rich or highly educated logon ko zyada dishonest paya hai.

Actual problem hai Nation ki kirdar saazi, jis par Humne being a Nation kai generations se kaam hi nahin kiya humne apny bachon ko Engineer, Doctor, Professor, Aalim, Mufti sab bana diya par inhen acha insan banane par tawajja na di or na inki kirdar saazi par kaam kia, In other words education di magar tarbiyat ke bagair.

So Jo boya wahi kaat rahe hain society mein Doctors, lawyers, Businessman, teachers or muftis to kasrat se milengy magr corruption ki milawat ke sath.

Dusra Rujhaan yeh bhi hai kay hum apni kotahiyoon ka bojh (burden) dusro par dalna or Problems mein phasne ke bad massiha (Leader) ka intezaar karte hain phir Kisi ko bhi massiha (Leader) samajh ke saari responsibility is par dal kar umeed bandhli jati hai or jab problem solve na ho to usko sidha devil (Shaitan) bana kar or phir New massiha (Leader) ki talash Shuru kardi jati hai.

Waqt hai apna bojh khud utha nay ka, Problems ko khud solve karne ka means ke responsible citizen ban nay ka.

Socially, hum agar Nation kehla bhi len to psychologically hum kuch ziada nai sirf logon ka hujoom hain Jo Leaders ki Taqleed karna chahte hain aisy condition mein individual soch na hone ke barabar hoti hai or saari responsibility leaders par dal kar baki log blindly follow karte hain.

Society ko kaise develop kartay hain wo sabbaq (lesson) hume shehed ki makhiyon (Bees) ne sadiyon (decades) pehlay seekha diya tha, har makhi (bee) responsibility ke sath apna kaam karti hai or to or Malka (Queen) tak apna kaam responsibility ke sath karti hai. Yahi model apko har Developed Society or Country mein dikhega. Sab log apna kaam honesty and responsibility ke sath kartay hain or wo Institution or Society automatically taraki karti hai.

Agar hum taraqi ki khwahish rakhte hain to inhi models ko develop or adopt karna hoga, Kia hum ready hain apna bojh (burden) khud uthane ke liye ?

Author: Article kay Author Khushnood Zia hain jo kay ek geologist hain by profession. Author ne Middle East me Leading International Firms kay sath as a Technical Professional 26 years kaam kiya hai aur bahut Gehri nazar rakhtay hain Society ke different sectors pe.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×