Islamabad: Pakistan aur Iran ke darmiyan sarmaya kari aur tijarati rawabit mein ek aham sang-e-meel aboor kar liya gaya hai. Federation of Pakistan Chambers of Commerce and Industry (FPCCI) ke Sadr Aatif Ikram Sheikh aur Iranian Consul General Akbar Isa Zada ke darmiyan aham mulaqat hui, jismein Pak–Iran do tarafah tijarat ko 10 arab dollar tak barhane ka hadaf muqarrar kiya gaya.
Mulaqat ke dauran dono mumalik ne mushtarka Tijarati Committee ke qiyam aur tijarati volume mein izafay par ittefaq kiya. Is mauqe par niji sector ke kirdar ko farogh dene aur iqtisadi o sanati taawun ko mazeed mazboot banane par bhi zor diya gaya.
Qazvin Chamber of Commerce ke sarbarah aur un ke wafd ne Karachi mein munaqid tijarati o sanati numayish mein khusoosi shirkat ki. Is dauran zaraat, chemical industry, LNG aur energy sectors mein mushtarka sarmaya kari ke mauqon par tafseeli tabadla-e-khayal hua.
Maahireen ke mutabiq Pak–Iran tijarati talluqat ke istehkam se ilaqai aur bain-ul-aqwami mandi tak rasai mein izafa mumkin hoga, jab ke do tarafah tijarati taawun se muashi istehkam, rozgar ke mauqay aur khushhali ki umeed paida hogi.
SIFC ki door-andesh hikmat-e-amli Pakistan ke bain-ul-aqwami aur iqtisadi rawabit mein behtari ka sabab banti ja rahi hai.




