ISLAMABAD: Pakistan Sugar Mills Association ne hukumat ko chini ki qeematon mein izafa ka zimmedar qarar de diya hai, aur kaha hai ke is izafa ka sabab FBR portals ki bandish aur hukoomati dealers hain, na ke sugar industry.
Association ke mutabiq, portals ki bandish se chini ki supply kam ho gayi, aur hukumat ko barhati hui qeematon ke bare mein pehle hi agah kiya gaya tha. Is ke bawajood hukumat ne mills par pressure dala taa ke ghair zaruri imported chini ko market mein becha jaye.
Association ne kaha ke awaam ne imported chini ko pasand nahi kiya, aur Sindh mein portals band rakhe gaye taa ke pehle imported chini ki sales ho sakein. Is ke nateeje mein chini ki supply kam hone lagi aur qeemat barh gayi, jo ke sugar industry ki zimmedari nahi.
Punjab mein bhi district administration ne mills ko majboor kiya ke hukoomati namzad dealers ko chini bechi jaye, jinhon ne market mein apne faide ke liye qeemat barha di.
Association ne kaha ke jab nayi chini market mein aayegi to qeemat normal ho sakti hai, aur hukumat se demand ki gayi hai ke chini ki inter-provincial supply par ghair-qaumi aur ghair-qanooni pabandiyan uthai jaayein.




