Islamabad: IMF ne apni 186 pages par mushtamil sakht report me kaha hai ke Pakistan ki hukoomat ke lagbhag har level par corruption ke shadeed khatray mojood hain. Sab se nuqsaan deh wo corruption hai jo taqatwar aur mura’at yafta halqay maashi sectors ko control karke karte hain — jis me state-owned aur state-supported idaray bhi shamil hain.
Corruption naapne ka bharosemand tareeqa nahi
Report ke mutabiq Pakistan me corruption ke asli paimane ko naapne ka koi reliable system mojood nahi. Lekin NEB ke do saal me Rs 5,300 billion ki recoveries yeh dikhati hain ke corruption ka volume bohat zyada hai.
Report ke mutabiq yeh recoveries corruption ke asli iqtisadi nuqsaan ka sirf aik hissa hain.
Report 3 mah takheeri ke baad IMF ke dabao par jari
Wazarat-e-Khazana ne yeh report 3 months delay ke baad IMF ki shart par jari ki, taa ke aane wale Executive Board meeting me $1.2 billion ki do qisto ki manzoori mil sake.
Reforms se GDP me 6.5% tak izafa ho sakta hai
Report me kaha gaya ke agar Pakistan hukoomati aur Governance reforms implement kare to aglay 5 saal me GDP me 5 se 6.5% tak izafa ho sakta hai.
Quaid-e-Azam ka hawala—70 saal baad bhi sab se bari rukawat
IMF ne Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ke 1947 ke khitab ka hawala dete hue kaha ke aaj 70 saal baad bhi corruption Pakistan ki muaashi, samaji aur governance taraqqi ki sab se badi rukawat hai.
Is corruption ke asraat:
- sarkari paisay ka ziya,
- market ka bigaar,
- na-insafi par mabni muqabla,
- awaami aitmaad me kami,
- aur investment me rukaawat hain.
Awam se le kar policy level tak corruption
Report ke mutabiq log sarkari services hasil karne ke liye rishwat dene par majboor hotay hain. Policy making par siyasi aur maashi elite ka gehra asar hai jo personal faiday ke liye policies ko mor deti hai.
Adliya ki kamzori, accountability idaron ki be-asari aur kuch halqon ka dabao corruption ko phaila raha hai.
2019 ki sugar export—ba-asar groups ne kaise faida uthaya
IMF ne 2019 me chini ki export ki ijazat ko uq example bataya ke kaise ba-asar business groups aur officials apne faiday ke liye policies ko manipulate karte hain.
Sugar sector me:
- zakheera andozi,
- qeematon me artificial izafa,
- aur money laundering
ke zariye arabon kamaye gaye, lekin mo’asar ehtisaab nahi hua.
Adliya ko bhi awam corrupt idaron me shamil kartay hain
Awam ki nazar me adliya bhi badunwan idaron me shamil hai. Transparency ki kami, slow system aur efficiency issues ne insaaf ki farahmi ko nuqsaan pohanchaya.
IMF ne suggest kiya ke judges ki performance aur ehtisaabi standard behtar kiye jayen aur unki appointments ke liye clear aur transparent criteria tayar kiya jaye.
Tax system aur hukoomati kamzori corruption ko barhati hai
Report ke mutabiq:
- complex tax system,
- kamzor financial management,
- public procurement me issues,
- aur SOEs ki monitoring ki kami
corruption ke bunyadi sabab hain.
Corruption taraqqi, investment aur public service ko nuqsaan pohanchati hai
IMF ne warn kiya ke corruption na sirf public sector ko damage karti hai, balkeh economic growth, investment, aur national resources ke sahi istemaal me bhi bari rukaawat ban rahi hai.




