Friday, November 14, 2025
spot_img
HomeEconomyGOVERNMENT APPROVES GWADAR–OMAN FERRY SERVICE, BOOSTING TRADE AND CONNECTIVITY

GOVERNMENT APPROVES GWADAR–OMAN FERRY SERVICE, BOOSTING TRADE AND CONNECTIVITY

Hukoomat ne Gwadar se Oman tak ferry service ke ijra ki baqaidamanzoori de di hai, jo dono mulkon ke darmiyan safar, tijaarti rawabitoN aur nayi sarmayakari ke lie aik aham qadam qarar diya ja raha hai.

Federal Minister for Maritime Affairs Muhammad Junaid Anwar Chaudhry ke mutabiq federal cabinet ne ferry service se mutaliq summary ko approve kar diya hai, jiske baad Pakistan aur Oman bohat jald MoU par dastkhat kareN ge.

Minister ka kehna hai ke ferry service ke start ke liye arrangements ko finalize karne ke lie aik high-level Omani delegation jald Pakistan ka dora karega. UnhoN ne kaha ke Gwadar–Oman ferry service se dono mumalik ke darmiyan tijarati volume mein izafa hoga aur sarmayakari ke naye moqaay paida hon ge.

UnhoN ne izhar-e-rae karte hue kaha ke naya route overseas Pakistanis ke lie safar ko aasaan banayega jab ke tourism, culture aur people-to-people contact ko bhi farogh milega. Unke mutabiq nayi samandari raahdariyon se region ke dusre mumalik ko bhi Central Asia ki markets tak behter rasai hasil hogi.

Minister ne umeed ka izhar kiya ke ferry service se Gwadar mein iqtisadi activities ko taaqat milegi aur port trade hub ke taur par ubhar kar saamne aayega. UnhoN ne kaha ke project ki completion ke baad Pakistan–Oman economic cooperation mazeed mustahkam ho ga.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×