Islamabad: Pakistan ko 1.2 Arab Dollar qarz ki manzoori ke liye IMF ke Executive Board ka ijlas 8 December 2025 ko bula liya gaya hai. Is qist mein EFF qarz program ke tehat 1 Arab Dollar shamil hai, jabke Climate Financing ke zariye 20 crore Dollar bhi jaari kiye jayenge.
Pakistan aur IMF ke darmiyan staff level moaahida 14 October ko hua tha. Ijlas se pehle tawakku hai ke Pakistan apni Governance & Corruption Diagnostic (GCD) report jaari karega, jo EFF ke key structural benchmarks mein zzse ek hai.
Report ki aakhri tareekh July mein thi, jise baad mein August aur October mein dobara arrange kiya gaya, lekin Pakistan aur IMF ke darmiyan technical aur factual differences ki wajah se ab tak mukammal nahi hui.
IMF mission ne saal ke aghaz mein Pakistan ka daura kiya aur Supreme Court, Law & Justice Division, Auditor General, National Accountability Bureau, FBR aur State Bank jaise mukhtalif idaron se mulaqat ki. Report mein awami maali nizam aur tax system ki kamzoriyaan highlight ki gayi, aur kaha gaya ke mojooda governance mechanism mein aksar sarkari afsaran apne ya apne khandan ke asasaas tax authorities ya Establishment Division ko nahi dikha rahe.
Report mein ye bhi bataya gaya ke bureaucratic aur political level par corruption widespread hai aur Pakistan international corruption rankings mein uncha maqam rakhta hai.




