Friday, November 7, 2025
spot_img
HomeBusinessPSX NE 18 SAAL SE KAM UMAR AFRAAD KE LIYE TRADING ACCOUNT...

PSX NE 18 SAAL SE KAM UMAR AFRAAD KE LIYE TRADING ACCOUNT GUIDELINES JARI KAR DIEN

Yeh iqdam SECP ki rehnumai mein tayar kiya gaya hai, maqsad nayi nasal mein bachat aur sarmayakari ka rujhan barhana hai


Pakistan Stock Exchange (PSX) ne National Clearing Company of Pakistan Limited (NCCPL) aur Central Depository Company (CDC) ke saath mil kar 18 saal se kam umar afraad ke liye trading account kholne ki guidelines jari kar di hain.

Yeh qadam Securities and Exchange Commission of Pakistan (SECP) ki rehnumai mein uthaya gaya hai, jiska maqsad mulk mein financial inclusion aur investor awareness ko barhana hai.

SECP ke mutabiq, in guidelines ka bunyadi maqsad nayi nasal mein bachat aur sarmayakari ka rujhan paida karna, unhein capital market se jaldi jorna, financial discipline sikhana, aur unhein official investment platforms tak asaan rasai dena hai.

Guidelines mein wazeh tor par bataya gaya hai ke kis tarah natural ya court-appointed guardians apne sarparasti mein kam umar afraad ke naam par accounts khol sakte hain, unhein manage kar sakte hain, aur un par lagu terms & conditions kya hongi.

System ko is tarah design kiya gaya hai ke rules compliance aur security of transactions dono barqarar rahen, jabke access asaan rahe.

Iske ilawa, jab account holder 18 saal ki age poori kar le, to uska account regular trading account mein tabdeel karne ka tariqa bhi bataya gaya hai, jisme capital transfer ke tax effects bhi shamil hain.

PSX ke mutabiq, yeh initiative mulk mein financially literate aur investment-aware youth tayar karne ki aham koshish hai. Tafseeli hidayaat Pakistan Stock Exchange ki website par dastiyab hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×